uchal kar baadal choone ki koshish me zameen ki ahmiyat bhula baithe,
aasman to mila nahi par kadmo ko rakhne ki wo jagah gawan baithe,
udne ki chahat me ashiyan chhod diya,
hawa ke ik jhonke ne dil jhakjhor diya.
manzil to door raaste ki khabar na rahi,
kamjor aandhi ki halchal bhi beasar na rahi
hasrat galat na thi par waqt se pehle hi naye paron pe bharosa kar baithe
uchal kar baadal.....
palko ke peeche chupi Oos ki kuch boonde,
kisi tarah thaam ke baithe hain har waqt jinhe
bas ik thokar aur lagi ki wo chalak aayengi
kuch der bahengi fir bhuli koi kahani ban jayengi.
is kirdaar me to badal gaye par kisi aur kahani se wajood gawan baithe..

uchal kar baadal....